zindagi ki aise daud me daud ke karna kya hai?
Jab yehi jeena hai dosto to phir marna kya hai?
office se chutte hi room pahuchne ki jaldi hai
Bhul gaye bhate bhagte tahelna kya hai?
Bigboss k ghar ka saara haal hai malum
par Ghar ka haal puchhne ki fursat kaha hai?
Ab do kadam bhi nange pao chalte kyu nahi
Dish T.V lagaya phir dil bahelte kyu nahi?
Internet ki duniya ke to touch me din raat hai,
lekin pados me kon raheta hai jaante tak nahi.
Mobile, Landline internetline sab ki bharmaar hai,
Lekin jigri dost tak pahuche jaye aisa taar kaha hai?
Kab dubte hue suraj ko dekha tha yaad hai?
tab jaana tha shaam ka woh banana kya hai?
kab chaand ki chandni me khoya tha yaad hai
tab jaana tha raat ka dhalna kya hai
To Dosto zindagi ki is daud me daud ke karna kya hai
Jab yahi jeena hai to phir Marna kya hai?




