Khuda Meri Hifazat Karna !

Tu Agar Mujhe Nawaze To Tera Karam Hai Mere ALLAH ! Warna Tere Rahmaton K Kabil Meri Bandagi Nahi Hai....

Monday, 11 August 2014

MUJHE YAAD HAI SAB ZARA ZARA...!

Wo Saath Rehtay They Toh Kehtay Thay, Hum Mein Kahin Judai Na Par Jaye,
 Ab Wo Pass Say Aisay Guzrtay Hain K Un Par HUmari Parchayi Na Par Jaye...!!!

Mujhay Yaad Hai Wo Sab Zara Zara, Tumhey Yaad Ho K Na Yaad Ho,
Wo Jo Ham Mein Tum Mein Qarar Tha, Tumhey Yaad Ho K Na Yaad Ho,
Woh Ek Wada Nibah Ker, Tumhey Yaad Ho K Na Yaad Ho,
Wo Jo Luft Mujh Pay They Beshtar, Wo Karam Kiya Tha Mere Haal Par,

Mujhey Sab Hai Yaad Zara Zara, Tumhey Yaad Ho K Na Yaad Ho,
Kabhi Hum Ko Tujh Se Raah Thi, Kabhi Hum Ko Tujh Se Bhi Chah Thi,
Kabhi Hum Bhi Tum Bhi They Aashna, Tujhey Yaad Ho K Na Yaad Ho,
Woh Bicharna Wasl Ki Raat Ka, Woh Na Man'na Kissi Baat Ka,
Woh Nahi Nahi Ki Har Aan Ada, Tumhey Yaad Ho K Na Yaad Ho,

Woh Naey Giley, Woh Shikayatein, Woh Mazey Mazey Ki Hakayatain,
Woh Har Ek Baat Pay Roothna, Tumhay Yaad Ho K Na Yaad Ho,
Kabhi Bethey Sab Mein Jo Ru'baru, To Ishaaron Say Hi Guftagu,
Woh Beyaan-E-Shoq Ka Barmla, Tumhay Yaad Ho K Na Yaad Ho,
Koi Baat Aissi Huyi K, Tumharey Jee Ko Wo Lagi Buri,

To Bayaan Se Pehly Hi Bhoolna, Tumhey Yaad Ho K Na Yaad Ho,
Suno! Zikar Hai Kai Saal Ka Ek, Kiya Tha Waada Ek Aap Nay,
Sang Jeenay Sang Marnay Ka, Tumhey Yaad Ho K Na Yaad Ho,
Jisey Aap Gintey They A'ashna, Jisey Aap Kehthey They Bawafa,
Main Wahi Hoon Momin_E Mubbtla, Tumhey Yaad Ho Key Nah Yaad Ho,



No comments:

Post a Comment