Khuda Meri Hifazat Karna !

Tu Agar Mujhe Nawaze To Tera Karam Hai Mere ALLAH ! Warna Tere Rahmaton K Kabil Meri Bandagi Nahi Hai....

Wednesday, 30 April 2014

Mohabbat to nahi marti

Meri taqdeer badal dengey mere jaanbaaz irade...!
Meri kismat nahi mahutaj mere hathon ki lakiron ki.

Usay kehna bicharne se mohabbat to nahi marti..
Bichar jana mohabbat ki sadaqt ki alamat hai ..
mohabbat aik fitrat hai , Han fitrat kab badalti hai ..
So, jab hum door ho jaein, Naye rishton mein kho jaein..
Tu yeh mat soch lena tum, Keh mohabbat mar gai hogi..

Nahi aise nahi hoga ..

Mere bare mein gar tumhari ankhein bhar ayein..
Chalak kar aik bhi ansu palak pe jo utar aye..
To bas itna samaj lena ,
Jo mere nam se itni tere DIL ko aqeedat hai..
Tere dil mein bichar kar bhi abhi meri mohabbat hai..
mohabbat tu bichar kar bhi sada abad rehti hai ..
mohabbat ho kisi se tu hamesha yaad rehti hai ..
mohabbat waqt ke Be-Reham tufaan se nahi darti..
Usay kehna bicharne se mohabbat to nahi marti….!!!

Thursday, 24 April 2014

Kahan Mumkin Hai...

Agar hota hai ittefaq to Yun Q nahi hota..
Wo chale us rah par jo mujh pe aakar khatam ho...

Pyaar ko bhoolna, kahan mumkin hai
Zakhm nasoor na bane, kahan mumkin hai
Sabra karne ko kehte ho, kahan mumkin hai
Aah dil se na nikle , ye kahan mumkin hai
Lamha-Lamha guzarta hai, teri yaadon ke sahare
Khwahishein aaj poori ho…, ye kahan mumkin hai
Dil-e-betaab ko seeney se laga lo aai dost
Jism se dil to alag ho…, ye kahan mumkin hai
Chaand-taare bhi zamein par roz utar aate hain
Husn ka roz ho deedaar, kahan mumkin hai
Aasmaan aaj mujhe neend nahin aati hai
Pyaar ho husn ke aagosh mein… , ye kahan mumkin hai
Ek-ek din to guzarta hai tasavur mein tere
Yaad mein umra ka katna…, kahan mumkin hai
Maikada, mehfil-e-jana aur saaqi se kya khouf
Hosh mein reh ke ab jeena…,ye kahan mumkin hai....

Saturday, 19 April 2014

Main khud ko bhul jata hoon♥••♥

Milti Hee Nahi Mujhey Is Duniya Ke Liye Fursat,,,
Soyen Toh Khuwab Tumhara ,,, Jaagay Toh Khayyal Tumhara♥♥
♥••♥ Nazar jab tum se milti hai, Main khud ko bhul jata hoon ♥••♥
♥••♥ Bas ek dhdkan dhadkti hai, Main khud ko bhul jata hoon ♥••♥
♥••♥ Tumhe milne se phle main, Bahot sajta sanwarta hoon ♥••♥
♥••♥ Mgr jab tum sanwarti ho, Main khud ko bhul jata hoon ♥••♥
♥••♥ Main aksar kitabon par, Tera hi naam likhta hon ♥••♥
♥••♥ Mgr kuch tum jo likhti ho, Main khud ko bhul jata hoon ♥••♥
♥••♥ Main aksr yeh hi khta hun, Main tum se pyar karta hun ♥••♥
♥••♥ Mgr jab tum yeh kehti ho, Main khud ko bhool jata hoon ♥••♥

Ek Din wo Jhunjhla Kar Bole Tumhein Sab Shikayaten Mujh Hi Se Q Hain ..?
To Maine Sar Jhuka k Dheere Se Kaha,” Nahi ” Mujhe Sab Umeedein Tum se Hain..

Thursday, 17 April 2014

Esliye mein chup hu....

"... TU mujh Se D0oryan Barhane ka sh0q po0ra kar.."
"....Meri Bhi Zid hai tujhe Har Dua Main Mangunga.."
Puch raha hai jamana mujhse Mein kyu has raha hu
Dekh raha hai hasi mere labon pe Lekin mein ro raha hu
Sochta hu byan kar du Dasta - e - gam ko lekin
Usme ayega naam tera Esliye mein chup hu

Baitha hu yaron ki mehfil mein aaj
Charo taraf shamao ka nazara hai
Shama yu bhadak rahi hai ki Aaj har patanga deewana hai
Suna rahe hai sab wafa-bewafai ke kisse
Pucch zamana mujhse bhi raha hai
Badnam na ho jaye kahin tu mehfil mein Esliye mein chup hu

Dhund raha hu har chehre mein tujhe main
Shayad yu hi mein bhatak raha hu Mil jaye kahi kisi mod par tu
Shayad yahi soch mein jee raha hu
Kahin tanhai se pyar na ho jaye mujhe
Esliye har pal tujhe yaad kar raha hu
Pucch rahi hai raat bhi mujhse tere bare mein
Lekin kahin tu badnaam na ho jaye din ke ujale mein
Esliye mein chup hu....