Khuda Meri Hifazat Karna !

Tu Agar Mujhe Nawaze To Tera Karam Hai Mere ALLAH ! Warna Tere Rahmaton K Kabil Meri Bandagi Nahi Hai....

Thursday, 17 April 2014

Esliye mein chup hu....

"... TU mujh Se D0oryan Barhane ka sh0q po0ra kar.."
"....Meri Bhi Zid hai tujhe Har Dua Main Mangunga.."
Puch raha hai jamana mujhse Mein kyu has raha hu
Dekh raha hai hasi mere labon pe Lekin mein ro raha hu
Sochta hu byan kar du Dasta - e - gam ko lekin
Usme ayega naam tera Esliye mein chup hu

Baitha hu yaron ki mehfil mein aaj
Charo taraf shamao ka nazara hai
Shama yu bhadak rahi hai ki Aaj har patanga deewana hai
Suna rahe hai sab wafa-bewafai ke kisse
Pucch zamana mujhse bhi raha hai
Badnam na ho jaye kahin tu mehfil mein Esliye mein chup hu

Dhund raha hu har chehre mein tujhe main
Shayad yu hi mein bhatak raha hu Mil jaye kahi kisi mod par tu
Shayad yahi soch mein jee raha hu
Kahin tanhai se pyar na ho jaye mujhe
Esliye har pal tujhe yaad kar raha hu
Pucch rahi hai raat bhi mujhse tere bare mein
Lekin kahin tu badnaam na ho jaye din ke ujale mein
Esliye mein chup hu....

No comments:

Post a Comment