Khuda Meri Hifazat Karna !

Tu Agar Mujhe Nawaze To Tera Karam Hai Mere ALLAH ! Warna Tere Rahmaton K Kabil Meri Bandagi Nahi Hai....

Tuesday, 17 September 2013

kisi ko khona padta hai kisi ka hona padta hai

Kahan Sawaab Kahan Kya Azaab Hota Hai,
Mohabbaton Main Kab Itna Hisaab Hota Hai,
Bichad Ke Mujhse Tum Apni Kashish Na Kho Dena,
Udaas Rehne Se Chehra Kharaab Hota Hai,
Use Pata Hi Nahi Hai Ke Pyaar Ki Baazi,
Jo Haar Jaaye Wohi Kamiyaab Hota Hai,
Bahut Bharosa Na Kar Lena Apni Aankhon Par,
Dikhaai Deta Hai Jo Kuch Wo Khwaab Hota Hai
talab ki raah mein paane se pehle khona padta hai
bade sode nazar mein hon to chhota hona padta hai
zuban deta hai jo ae dard teri bezubani ko
usi aansu ko phir aankhon se bahar hona padta hai
mohabbat zindagi ke faislon se lad nahi sakti
kisi ko khona padta hai kisi ka hona padta hai

Friday, 6 September 2013

Wapas Kis Taraf Jaon




Chalo tum kah rahe ho to Mai wapas lout jata hoon
Tumhain manzil mubarak ho Naya saathi mubarak ho
Magar aey hamdam mere Mujh ko itna batla do
Kay wapis kis taraf jaon Kahan say saath liye they
Mujhay itna to samjha do Agar aisa nahi mumkin
To mujhko is tarah todo Kay mai puri tarah bikhar jaon
Bhatakney say to behtar hai Tumhaaray paas mar jaon
Chalo tum kah rahe ho to Mai wapis lout jata hoon.....!
Mujh ko itna batla do Kay wapas kis taraf jaon…!