Yun to kai bar majburiyon ne jhukaya hai mujhe sabke aage
thokar kha ke jo gira to bhi thokar lagaya hai duniya ne mujhe
mai teri kadmo me dilse phir jhukna chahta hoon
teri daaman ka sahahra se phir chalna chahta hoon
Maa mai ghar loutna chahata hoon.....
Meri galtiyon pe mujhe kosa jata hai
mujhe daant k kai baar bhagaya jata hai
mai bachpan ki wo nadaaniyan dohrana chahta hoon
tera pyar bhara wo gussa mai sahna chahta hoon
Maa mai ghar loutna chahata hoon.....
is duniya ko mujhme kharabiya nazar aati hai
meri harkaton mein unhe buraiyan nazar aati hai
mai phir tere nazaron ka laadla banna chahta hoon
duniya ka sabse accha beta sunnna chahta hoon..
Maa mai ghar loutna chahata hoon.....
Yun to mere sach per bhi aitbaar nai karte hai
mere halaat pe mere haar pe sab dil khol k haste hai
mere haar pe bhi teri wo muskurahat dekhna chahta hoon
phir himmat kar k is duniya se ladna chahta hoon
Maa mai ghar loutna chahata hoon.....
yun to khane k niwale milte hai magar
in niwalon mein pyar ka ek katra nai milta
khana to khoob khata hoon magar is pet ki bhook nai marta
tere hathon ka do niwale khana chahta hoon
Maa mai ghar loutna chahata hoon.....
ghor andhere saaye mein jab dar mujhe lagta hai
aansuon ki baarish se daaman bhig jata hai
in pareshaniyon se rukh modna chahta hoon
teri god mein chain ki neend sona chahta hoon
Maa mai ghar loutna chahata hoon.....
kishton kishton mein ghut ghut k mar raha hoon
tere aanchal k saaye mein sona chahta hoon
thak gaya hoon khud ko sambhalte sambhalte
teri ungliya pakad k phir do pag chalna chahta hoon
Maa mai ghar loutna chahata hoon.....
Maa mai ghar loutna chahata hoon.....
Maa mai ghar loutna chahata hoon.....