Khuda Meri Hifazat Karna !

Tu Agar Mujhe Nawaze To Tera Karam Hai Mere ALLAH ! Warna Tere Rahmaton K Kabil Meri Bandagi Nahi Hai....

Thursday, 24 January 2013

Meri haar ye jaruri to nai !

Tujhe mai bhool jao ye zaruri to nai
hum tumse door jaye ye jaruri to nai
humari mohabbat khinch layegi ki tumhe
har baar tum mukar jao ye jaruri to nai

Tujhe mujhpe ho aitbaar ye jaruri to nai
Ho Qismat Par Ikhtiyar Ye Zaroori to Nahi Hai
Is zindagi ko khawaish hai tumhari
magar tum mujhe mil jao ye jaruri to nai

Dhoop mai saye-e-deewar jaruri to nahi,
tere baad koi aur pyaar jaroori to nahi,
Jeet lenge tumko ek din duniya se,
Har baar ho meri haar ye jaruri to nahi




Roz rote hue mujhse ek hi baat kahti hai meri Zindagi
Sirf Ek hi Khawaish ki Khatir mujhe yun Barbaad na kar.......

No comments:

Post a Comment