Khuda Meri Hifazat Karna !

Tu Agar Mujhe Nawaze To Tera Karam Hai Mere ALLAH ! Warna Tere Rahmaton K Kabil Meri Bandagi Nahi Hai....

Tuesday, 13 September 2016

Mujhe Tum Yaad Aate Ho

humain tamanna thi tumain pane ki
Aur tumain tamanna thi humain aazmane ki
humain tamanna thi bus ik tumhari chahat ki
Aur tumain tamna thi sare zamane ki !!!
Muqadar Ke Sitaron Pe Zamano Ke Esharo Pe
Udasi Ke Kinaro Pe Kabhi Veran Shehro Main

Kabhi Sunsan Rasto Pe Kabhi Heran Ankho Main
Kabhi Bejan Lamho Main Tumari Yaad Chup Ke Se

Koi Sargoshi Kerti Hai Ye Palkein Bheg Jati Hain
Tu Aanso Tut Girte Hain Hum Palko Ko Jhukate Hain

Bazahir Muskurate Hain Faqat Itna Hi Kehte Hain
Mujhe Kitna Satate Ho Mujhe Tum Yaad Aate Ho

Saturday, 9 May 2015

Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?

Khwabome khayalome jine laga he tu,
Hakikatse koso door hone laga he tu,
Naa jane kaisi raah chun raha he tu,
Manzil nahi jiski koi ye bat jankarbhi chal raha he tu…..

Phir Neend Bhala Kab Aati Hai? 
Jab Neend Se Ankhain Bojhal Hon, 
Aur Apne Aankh Se Ojhal Hon,
 Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?
 Jab Dil Mein Basne Waale Bhi, 
 Aur Saath Mein Hasnay Walay Bhi,
 Jab Door Khahin Wo Bastay Hon, 
 Kisi Aur Ke Sath Wo Hanstay Hon,
 Phir Neend Bhala Kab Aati Hai? 
 Jab Ghum Ki Raat Andhairi Ho,
 Aur Us Mein Yaad Bhi TERI Ho,
 Na Dil Mein Koi Ujala Ho,
 Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?
 Phir Neend bhala kab ati hai…

Friday, 6 March 2015

Mere Sath Rahti ho.....

Akele Pan Me Bigri Hain Adatein Meri
Wo Laut Aye To Mumkin Hai Sudhar Jaun Mai...
Tum mujh se juda ho kar bhi mere sath rehti ho,
Tum mujh se door ho lekin, mere tum pas rehti ho,
Kabhi dard ki surat main, kabhi meri hi murat main,
Kabhi yaron ki sohbat main, kabhi tanhai ki lazzat main,
Tum mujh se door ho lekin, mere tum paas rehte ho,

Main jab ghar se nikalta tha, meri tum soch ban jate,
Mujhe jo shakhs nazar ata, us main tum nazar ate,
Tum mujh se door ho chahe, meri tum paas rehte ho,
Tum mujh se door ho lekin, mere tum paas rehte ho,

Jab main tanha hota to, tum meri awaz ban jate,
Mere andaz ban jate, mere alfaz ban jate,
Jitny dard thy mery, youn abad rehte ho,
Tum mujh se door ho lekin, mere tum pas rehte ho,

Tum mere khyalon main. jawabon main, sawalon main,
Shamon ki udasi main. subha k ujalon main,
Aur mere dil ke aangan main, hamesha khas rehte ho,
Tum mujh se door ho lekin, mere tum pas rehte ho,

Mujhe tum ye batao ke, mujhe kya yaad karte ho,
Kabhi mere kahe alfaz, tujhe doharaya karti ho,
Kya andar se tum bhi, youn hi udas rehte ho,
Tum mujh se door thy lekin, mere tum pas rehte ho..

Thursday, 25 December 2014

Ek Bewafa Ki Fiker Main...

Chaha Tha Jise Usey Bhulaya Na Gaya
Zakhm Dil Ka Logo Se Chhupaya Na Gaya
Bewafai Ke Baad Bhi Itna Pyar Karta Hai Dil Usey
Ki Bewafai Ka Ilzam Bhi Us Par Lagaya Na Gaya...

Dard ki Aah hai Aansuo ke safer main
Ro rahi hai nazer eak bewafa ki fiker main

tod ke dil mera woh toh chali bhi gayi
dhondti hai nazer use her shaam o saher main

yaad tere pyaar ki bahon main leke rote hai
rakhty hai jatan se tera hii dard jiger main

qaid tha dil main tera hi dard ta umer ke liye
mar rahi thi her aarzo dard ke es safer main

manghty thy eak lamha tujhe bhoolne ka zindaghi se
per dikh rahi thi maot hame us lamhe ke qaher main

gham khaar raho pe lad khada rahi thi bebasi meri
cheekhty rah gaya ye aanso bhi nazer main

Dard ki Aah hai Aansuo ke safer main
Ro rahi hai nazer eak bewafa ki fiker main

Saturday, 13 December 2014

Khud Ke Liye Veerana Likha Maine...

Ajab Tarah Se Socha Hai Zindagi K Liye,
Zakham Zakham Likhte Hain Har Kushi K Liye,
Wo Shaks Muje Bhool Gaya To Yaqeen Aya,
Koi Bhi Shaks Zaroori Nahi Kisi K Liye...



Saari Raat Baith Ke Apni Barbadi Ka Afsana Likha Maine,
Jab Bhi Kalam Uthai Khud Ko Hi Deewana Likha Maine,

Ye Vadiyan Ye Manjar Ye Chand Sitare Lagte Hai Apne Se,
In Apnon Ke Beech Apne Hi Dil Ko Begana Likha Maine,

Kabhi Sath Rahte The Mere Wo Saya Bankar,
Aaj Unhi Pyar Ke Lamho Ko Beeta Zamana Likha Maine,

Wo Mujhse Pyar Kar Ke Bhi Rahte Hai Gairon Ke Sath Mein,
Unki Is Bewafai Ko Bhi Majboori Ka Bahana Likha Maine,

Jab Jal Gaye Mere Arman Uske Pehlu Mein Aakar,
Tab Usko Ek Shama Aur Khud Ko Parvana Likha Maine,

Jab Lagi Hath Mere Mukaddar Ki Kalam Khuda Janta Hai,
Uski Taqdeer Mein Zamana Aur Khud Ke Liye Veerana Likha Maine...

Monday, 11 August 2014

MUJHE YAAD HAI SAB ZARA ZARA...!

Wo Saath Rehtay They Toh Kehtay Thay, Hum Mein Kahin Judai Na Par Jaye,
 Ab Wo Pass Say Aisay Guzrtay Hain K Un Par HUmari Parchayi Na Par Jaye...!!!

Mujhay Yaad Hai Wo Sab Zara Zara, Tumhey Yaad Ho K Na Yaad Ho,
Wo Jo Ham Mein Tum Mein Qarar Tha, Tumhey Yaad Ho K Na Yaad Ho,
Woh Ek Wada Nibah Ker, Tumhey Yaad Ho K Na Yaad Ho,
Wo Jo Luft Mujh Pay They Beshtar, Wo Karam Kiya Tha Mere Haal Par,

Mujhey Sab Hai Yaad Zara Zara, Tumhey Yaad Ho K Na Yaad Ho,
Kabhi Hum Ko Tujh Se Raah Thi, Kabhi Hum Ko Tujh Se Bhi Chah Thi,
Kabhi Hum Bhi Tum Bhi They Aashna, Tujhey Yaad Ho K Na Yaad Ho,
Woh Bicharna Wasl Ki Raat Ka, Woh Na Man'na Kissi Baat Ka,
Woh Nahi Nahi Ki Har Aan Ada, Tumhey Yaad Ho K Na Yaad Ho,

Woh Naey Giley, Woh Shikayatein, Woh Mazey Mazey Ki Hakayatain,
Woh Har Ek Baat Pay Roothna, Tumhay Yaad Ho K Na Yaad Ho,
Kabhi Bethey Sab Mein Jo Ru'baru, To Ishaaron Say Hi Guftagu,
Woh Beyaan-E-Shoq Ka Barmla, Tumhay Yaad Ho K Na Yaad Ho,
Koi Baat Aissi Huyi K, Tumharey Jee Ko Wo Lagi Buri,

To Bayaan Se Pehly Hi Bhoolna, Tumhey Yaad Ho K Na Yaad Ho,
Suno! Zikar Hai Kai Saal Ka Ek, Kiya Tha Waada Ek Aap Nay,
Sang Jeenay Sang Marnay Ka, Tumhey Yaad Ho K Na Yaad Ho,
Jisey Aap Gintey They A'ashna, Jisey Aap Kehthey They Bawafa,
Main Wahi Hoon Momin_E Mubbtla, Tumhey Yaad Ho Key Nah Yaad Ho,



Wednesday, 9 July 2014

Chalo EK Aur Duniya Mein Tumhare Saath Chalte Hain...

Wo Ajeeb Shaks Tha Aye Zindagi, Jisey Samjh K Bhe Na Smjh Sakey...!
Mujhe Chahta Bhe Ghazab Ka Tha, Mujhe Chor Kar Bhi Chala Gayaa ..
Chahat To Aaj Bhi Utni Hai Unke Liye .Par Kismat Ke Hathon Mazboor Ho Gaye ... !!
Dekhi Jo Unme Apne Liye Berukhi . Hum Unki Khushi Ke Liye Khud Hi Unse Dur Ho Gaye ...!!!






Chalo EK Aur Duniya Mein, Tumhare Saath Chalte Hain..
Jahan Halaat Kuch Bhi Ho, Magar Hum Saath Rehte Ho..
Jahan Mousam Koi Bhi Ho, Judaayi Ka Na Ho Lekin..
Jahan Chand Suraj Bhi Tum Ho, Hawa,Roshnii,Khushboo Ka Rang Tum Se Ho..
Jahan Par Dil Dharakne Ka, Har EK Ehsaas Tum Se Ho..
                              Jahaan Par Mere Jeene Ki, Saari... Aas Tum Se Ho..
                           Chalo EK Aur Duniya Mein, Tumhare Saath Chalte Hain...


Thursday, 12 June 2014

Koi Hum Main Reh Jata Hai Aur Kisi Main Hum...

Waqt Baha Kr Le Jata Hai Naam -O- Nisha'an Magar.....
Koi Hum Main Reh Jata Hai Aur Kisi Main Hum...

Bhula dete hai wo ham ko , fakat itne bahane se
Ke unke aansu girty hai , hamari yaad aane se
Ke rota hai dil unka bhi , magar kuch keh nahi pate
Kya hoga hasil , itna dilon ko aajmane se

Ke ham ko ilm na raha , ye aashiqi ka tha junoon
Bhul jate hai sabkuch ham , unki yaad aane se
Koi kehta hai majnon hamen , koi kehta hai diwana
Bhatak rahe hai ham dur apne Aashiyane se

Ke mai Mandir gaya , Masjid gaya , Mangi yahi dua
Mila de ye jahan ham ko kisi bhi ek bahane se
Ye rahen hai kuch anjani ki manjil bhi hai begani
Ke "Rahi" mit gaya hai apney hi ek fasane se
Ke kaise dikhlaon tujhe , aur kis bahane se
Jo Rota hai har ek Manjar mere aansu  bahane se

Mera Naseeb Tha.!

palko ki haden tod k daman pe aa gira,,
ek aansu mere shabr ki toheen kar gaya,
Mera Zamir Mujhse Kehta hai,
kya dekhta hai apne haathon ki lakeeron ko
wo tera tab bhi na tha, jab us ka hath tere hath me tha..

Kadmon Mein Thi Zameen Safar Faaslon Mein Tha.!
Woh Tha Mere Kareeb Magar Raaston Mein Tha.!
Milna Tha Ittefaq Bicchadna Naseeb Tha.!
Woh Itna Hi Door Ho Gaya Jitna Kareeb Tha.!
Us Ko Dekhne Ko Tarsti Reh Gai Meri Aankhein.!
Jis Ke Haathon Ki Lakeeron Pe Mera Naseeb Tha.!

Friday, 6 June 2014

Main Pukaar Kar Dekhun

Insan pyar karne ke liye hote hai aur..
Paisa istemal karne ke liye par,
Dard tab hota hai Jab log paiso se pyar,
aur Insano ka istemal karte ha..
Main Apne Aap Se Ek Zang Haar Kar Dekhun,
Phir Se Ek Baar Use Main Pukaar Kar Dekhun.
Wo Waapas Aaye Ya Aa Aaye Ye Raza Us Ki,
Ek Baar Chaahat Ka Naseeb Sawar Kar Dekhun.
Use Chaahte Rahun Sirf Use Hi Pyaar Karun,
Ek Aur Aaziyat Se Khud Ko Guzaar Kar Dekhun.
Sirf Dard Hi Hai Muhabbat To Phir Kya Huaa,
Toofan E Ghum Mein Khud Ko Utaar Kar Dekhun.....

Monday, 19 May 2014

Dur kitni ho gayeen jo manzilen kareeb thein

Ye kaisa chahat ka silsila hai..
Usse na koi sikayet na koi gila hai....
Zindagi kis mod per le aai hai.... Hume,
Na usko khone ki himat hai..
Or na pane ki hausla hai....
Ghar se beghar kar gayeen karwaten naseeb ki
dur kitni ho gayeen jo manzeelen kareeb thein..
rafta rafta aagayeen.. do dilon me duriyan
kal mohabbat thi jahaan.. aaaj hain majburiyaan
aaj kamil ho gayeen.. aatishen rakeeb ki
dur kitni ho gayeen jo manzeelen kareeb thein..
tujko ai dil milgayaa, ab wafaaon ka sila
kardiya kaatib ne aakhir aaj apna faisla...
dil ke tukde kar gayeen thokren habeeb ki
dur kitni hogayeen jo manzilen kareeb thein
jaane kyon lagti hai dil ko har khushi ajeeb si
dur kitni ho gayeen jo manzilen kareeb thein

Tuesday, 13 May 2014

Bus majburiyon se darr kar vo

Ye Mohabbat Ka Bandhan Bhi Kitna Ajeeb Hota Hain
Mil Jaye To Batein Lambi, Bichar Jaye To Yaadei Lambi
uss ke haathon ki mehndi gajab khil rahi thi...
vo mujh se nazre chura ke mil rahi thi...
aaj mera khud par se bhi yakeen uth gya tha...
aaj uss ki kahi har baat jhuuthi lag rahi thi...
chup chap si sahmi hui khadi thi mere samne...
kehna tha bahut kuchh magar kehne se dar rahi thi...
jo zakham uss ne diye thy mujh ko...
unnhe sine ki nakam koshish si kar rahi thi...
main janta hu jism uska to zinda tha...
magar meri tarah andar hi andar uss ki rooh mar rahi thi...
aasan nahi tha uss ke liye mujhe chhod kar jana...
bas majburiyon se darr kar vo
kisi aur ki hojaane ki hami bhar rahi thi...

Wednesday, 7 May 2014

Phir bhi ye dil sakun kyu nahi pata,......

Mein kesa laadu MUQADMA apni BEWAFAI ka?
Ye DIL bhi waqeel uska ; ye JAAN bhi gawah uski ...

Ek shaks ko kho dene ka darr kyu nahi jata,
Ye bojh mere dil se utar kyu nahi jata,
Manzil pe pahunch ke bhi use khona padega,
Uski judaai me aankho ko bhigona padega,
Ye tay hai fir bhi shauk-e-safar kyu nahi jata,
Maine subah aur sham chaha hai usko,
Din raat duwaao me maanga hai usko,
Phir bhi ye dil sakun kyu nahi pata,......?

Kyu Ussi Ka Raha Waqt Ki Baat Hai....

Teri Talaash Mein NiklU Bhi Toh Kya Faida,
Tu Badal GaYa Hai, Khoya Hota Toh Kuch Aur Baat Thi.
 
Waqt Se Waqt Ki Kya Shikayat Kare,
Waqt Hi Na Raha Waqt Ki Baat Hai.
Uss Ne Dekha Muje Usne Chaha Muje,
Usne Thukra Diya Waqt Ki Baat Hai.

Koi Mushkil Padi Koi Kaam Aa Gaya,
Zehan Mein Uske Jo Mera Naam Aa Gaya.
Baad Muddat Ke Woh Doston Ki Tarah,
Hum Se Huss Ke Milla Waqt Ki Baat Hai.

Zindagi Hum Se Anjaan To Ho Gayi,
Ek Rishtay Ki Pehchaan To Ho Gayi.
Koi Chahat Na Thi Bas Murrawatt Thi,
Woh Khud KO Samjha Liya Waqt Ki Baat Hai.
Jiss ko Payaa Nahi Ussko Kho Ker Bhi Main,
Kyu Ussi Ka Raha Waqt Ki Baat Hai....
 
Phir Teri Kahaani Yaad Aayi...............

Wednesday, 30 April 2014

Mohabbat to nahi marti

Meri taqdeer badal dengey mere jaanbaaz irade...!
Meri kismat nahi mahutaj mere hathon ki lakiron ki.

Usay kehna bicharne se mohabbat to nahi marti..
Bichar jana mohabbat ki sadaqt ki alamat hai ..
mohabbat aik fitrat hai , Han fitrat kab badalti hai ..
So, jab hum door ho jaein, Naye rishton mein kho jaein..
Tu yeh mat soch lena tum, Keh mohabbat mar gai hogi..

Nahi aise nahi hoga ..

Mere bare mein gar tumhari ankhein bhar ayein..
Chalak kar aik bhi ansu palak pe jo utar aye..
To bas itna samaj lena ,
Jo mere nam se itni tere DIL ko aqeedat hai..
Tere dil mein bichar kar bhi abhi meri mohabbat hai..
mohabbat tu bichar kar bhi sada abad rehti hai ..
mohabbat ho kisi se tu hamesha yaad rehti hai ..
mohabbat waqt ke Be-Reham tufaan se nahi darti..
Usay kehna bicharne se mohabbat to nahi marti….!!!

Thursday, 24 April 2014

Kahan Mumkin Hai...

Agar hota hai ittefaq to Yun Q nahi hota..
Wo chale us rah par jo mujh pe aakar khatam ho...

Pyaar ko bhoolna, kahan mumkin hai
Zakhm nasoor na bane, kahan mumkin hai
Sabra karne ko kehte ho, kahan mumkin hai
Aah dil se na nikle , ye kahan mumkin hai
Lamha-Lamha guzarta hai, teri yaadon ke sahare
Khwahishein aaj poori ho…, ye kahan mumkin hai
Dil-e-betaab ko seeney se laga lo aai dost
Jism se dil to alag ho…, ye kahan mumkin hai
Chaand-taare bhi zamein par roz utar aate hain
Husn ka roz ho deedaar, kahan mumkin hai
Aasmaan aaj mujhe neend nahin aati hai
Pyaar ho husn ke aagosh mein… , ye kahan mumkin hai
Ek-ek din to guzarta hai tasavur mein tere
Yaad mein umra ka katna…, kahan mumkin hai
Maikada, mehfil-e-jana aur saaqi se kya khouf
Hosh mein reh ke ab jeena…,ye kahan mumkin hai....

Saturday, 19 April 2014

Main khud ko bhul jata hoon♥••♥

Milti Hee Nahi Mujhey Is Duniya Ke Liye Fursat,,,
Soyen Toh Khuwab Tumhara ,,, Jaagay Toh Khayyal Tumhara♥♥
♥••♥ Nazar jab tum se milti hai, Main khud ko bhul jata hoon ♥••♥
♥••♥ Bas ek dhdkan dhadkti hai, Main khud ko bhul jata hoon ♥••♥
♥••♥ Tumhe milne se phle main, Bahot sajta sanwarta hoon ♥••♥
♥••♥ Mgr jab tum sanwarti ho, Main khud ko bhul jata hoon ♥••♥
♥••♥ Main aksar kitabon par, Tera hi naam likhta hon ♥••♥
♥••♥ Mgr kuch tum jo likhti ho, Main khud ko bhul jata hoon ♥••♥
♥••♥ Main aksr yeh hi khta hun, Main tum se pyar karta hun ♥••♥
♥••♥ Mgr jab tum yeh kehti ho, Main khud ko bhool jata hoon ♥••♥

Ek Din wo Jhunjhla Kar Bole Tumhein Sab Shikayaten Mujh Hi Se Q Hain ..?
To Maine Sar Jhuka k Dheere Se Kaha,” Nahi ” Mujhe Sab Umeedein Tum se Hain..

Thursday, 17 April 2014

Esliye mein chup hu....

"... TU mujh Se D0oryan Barhane ka sh0q po0ra kar.."
"....Meri Bhi Zid hai tujhe Har Dua Main Mangunga.."
Puch raha hai jamana mujhse Mein kyu has raha hu
Dekh raha hai hasi mere labon pe Lekin mein ro raha hu
Sochta hu byan kar du Dasta - e - gam ko lekin
Usme ayega naam tera Esliye mein chup hu

Baitha hu yaron ki mehfil mein aaj
Charo taraf shamao ka nazara hai
Shama yu bhadak rahi hai ki Aaj har patanga deewana hai
Suna rahe hai sab wafa-bewafai ke kisse
Pucch zamana mujhse bhi raha hai
Badnam na ho jaye kahin tu mehfil mein Esliye mein chup hu

Dhund raha hu har chehre mein tujhe main
Shayad yu hi mein bhatak raha hu Mil jaye kahi kisi mod par tu
Shayad yahi soch mein jee raha hu
Kahin tanhai se pyar na ho jaye mujhe
Esliye har pal tujhe yaad kar raha hu
Pucch rahi hai raat bhi mujhse tere bare mein
Lekin kahin tu badnaam na ho jaye din ke ujale mein
Esliye mein chup hu....

Thursday, 27 March 2014

Main Teri Bewafai Pe Nahi Likhta..

Zindagi Ne Kai Sawalat Badal Dale,
Waqt Ne Mere Haalaat Badal Dale,
Main to Aaj bi wahi hun Jo mai kal tha,
Bas mere liye Kuch apno ne Apne Khyalat badal dale.

Unko ye shikayat hai....main bewafai pe nahi likhta...
aur main sochta hun....main unki ruswai pe nahi likhta,

Khud apne se jyada bura...jamane me kaun hai,
Is liye main auron ki buraai pe nahi likhta,

Kuchh toh aadaton se majbur hain aur kuchh fiaraton ki pasand hai,
Jakhm kitne bhi gehre hon.?.. main unki duhai pe nahi likhta,

Duniya ka kya hai...har haal me iljaam lagati hai,
warna kya baat..? ki main apni safai pe nahi likhta,

shaan - e - amiri par krun kuchh arz...magar ek rukawat hai,,
mere usul...main gunahon ki kamai pe nahi likta,
Uski takat ka nsha...'mantra aur kalme' me barabar hai,
Mere doston main majhab ki..ladaai pe nahi likhta,

Samandar ko parakhane ka...mera nazariya hi alag hai yaaron,
Mizzazon pe likhta hun main unki... gahraai pe nahi likhta,

paraye dar ko...main gajlon me mehsoos karta hoon,
Ye sach hai ki main teri meri judai pe nahi likhta,

tajurbaa teri mohabbat se....na likhne ki wajah sirf ye,
ki sayar ishq me khud apni....Tabaahi pe nahi likhta...

Wednesday, 26 February 2014

Yaad karke mujhe taklif hi hoti hogi

Us Se Kehna Hum Mazay Main Hain, Bas Yaadain Bohat Stati Hain,
Un Ki Doori Ka Gham Nahi Mujhe, Bas Zara Aankhain Bheeg Jati Hain.....


 Yaad karke mujhe taklif hi hoti hogi,
Aik qisa hoon purana sa bhula de mujhko
Doobte doobte aawaz teri sun jaun
Akhri baar tu sahil se sada de mujhko

Main tere hijr main chup chaap na mar jaun kahin
Main hoon sakte main kabhi aake rula de mujhko
Dekh main hogaya badnam kitabon ki tarah
meri tasheer na kar ab tu jala de mujhko

Roothna tera meri jaan lie jata hai
Aese naraz na ho haske dikhade mujhko
Aur kuch bhi nahi manga mere malik tujhse
Uski galion main pari khak banade mujhko

Log kehte hain ke ye ishq nigal jata hai
Main bhi is ishq mai aya hun, dua de mujhko
Yahi oqat hai meri tere jeevan main ke main
Koi kamzor sa lamha hun bhula de mujhko.........


Friday, 3 January 2014

Tera pyaar to mera sab kuch hai tere pyar se khud ko janne lge hain

Dhuwain ki lehar pay tasweer raqs karti rahi
Wo ciggeratoun k tasalsul main yaad aata raha !!!!
Akela kahan tha main kbhi b saath tum jo the chalne k liye
tumse pyaar hona kaafi tha meri zindagi badalne k liye
mar mar k b jeena tha aakhir ye saath nibhana tha
jannat ki chah kise thi hume teri baahon me aana tha

ek inaam mila ek saza mili dono apnaye ja rahe hain
inaam ye tumhe pyaar krte hain saza ye pyaar kar nhi pa rhe hain
tune chand dikhaya din me hme to sooraj raat me b nikalne laga
teri yaadon ki dhoop se dil mera ab bahut jyada hi kuch jalne laga
teri aawaz sunna chahte hain chehra dekhne ko taras jate hain
lakh door tum aankhon se mere par dil ke bhut kareeb pate hain
tera pyaar to mera sab kuch hai tere pyar se khud ko janne lge hain
hum khud se paraye ho rahe hain tumhe itna apna maanne lage hain.

Wednesday, 1 January 2014

saaf keh do na......................

HAPPY NEW YEAR .....
pichley baras tha khauf, tujhe kho na dun kahin,
ab k baras dua hai, tera saamna na ho....
nahi acha koi ishaara .... saaf keh do na
kahan tak sath do gay tum hamara .... saaf keh do na
judai ki tarha darya b apne sath chalta hai
nahi milta kinare se kinara .... saaf keh do na
bahane apni majhbori k Q aa kar sunate ho
qasoor is men nahi koi tumhara .... saaf keh do na
hamen tanhai k taaney tu mat do gair k aagey
ke hum b dhond len koi sahara .... saaf keh do na
hamare haath ki aksar lakeerein milti julti hain
magar milta nahi apna sitara .... saaf keh do na..!!

Sunday, 29 December 2013

Ye zindagi badal rahi hai har Pal shayad ye waqt

Us Ki Aankhoon Main Nazar Aata Hai Saara Jahan Mujh Ko
Afsoos K Un Aankhoon Main Kabhi Khud Ko Nahi Dekha…!!!
Ae waqt zara tham ja yahi do pal tujhse baat karlu,
Ek Lamha mera Haseen hai yaha us se zara mulakaat kar lu,
Ye zindagi badal rahi hai har Pal shayad ye waqt fir mil na paye,
Kuch Lamho ki jhalak pa lu fir se mitti ki tarah kahi fisal na jaye,
Mai chal pada hu nayi raaho mai ab to sab kuch badla badla hai,
Ek nayi kiran hai aasha ki jeevan mai roshni se sab kuch ujla hai,
Sunahri hai raahe meri ab to chaya ka har pal dera hai,
Sapno mai dekha tha kabhi aisa ujla savera hai,
Mai chalta jau raaho par jeevan badalta jayega,
Ye waqt jo hai beet raha lautkar nahi aayega,

Mai piche mudkar dekhta hu raahein meri tanha hai,
Chal raha aaj mai jin par waha na koi apna hai,
Tum yaad aate ho mujhko kya khub tumhara saath raha,
Har pal khusiya rahi waha par jab haath mai tera haath raha,
Tu manzil tak saath nahi teri yaadein mere saath hai,
Aankhe meri nam hai to kya in aankho mai tu aabad hai,
Chalte chalte waqt kabhi aisa bhi ek mod laye,
Ho suhani shaam kahi panchi bhi ek sur mai gaaye,
Ho pahad nadiya jharne aur dhalte suraj ki saanjh ho,
Teri khushbu hawao mai ho aahat ka silsila aam ho,
Mai sunkar teri aahat fir se taras jau tere deedar ko jaise,
Tu palatkar dekhe mujh ko aur baras jaye har baar jaise,

Ae saanjh kabhi tu aa lautkar mai palake bichaye baitha hu,
Tujhe kya malum hoga apno ke bin mai kaisa hu,
Kuch yaado mai tarsate hai kuch dil ko mere tadpaate hai,
Wo din bhi mujhko yaad hai ab tak kaise hum sab bichad jate hai,
Ek din tha jab anjaan thi duniya sab kuch jaise paraya tha,
Dhire dhire waqt kya guzra sab ne mujhe apnaya tha,
Haseen si duniya khwabo jaisi sach hokar jaise aayi thi,
Wo rishtey kitne khaas hai jinse ek nayi duniya sajayi thi,
Wo dhalta suraj le gaya khusiya meri dur mujhse,
Mai rok na paya waqt ko bhi sapna hua ho chur jaise,
Ab yaado ka hai silsila aur tasveero ka sahara hai,
Tujhe batau kaise humdum kaise mera guzara hai,
Yaar mere tu aa lautkar ek nayi kahani likh dunga,
Ae waqt lautkar aa fir se tasveer purani badal dunga,
Mai dekhunga palatkar tujhko us din tu mera naam lena,
Zindagi ki jab shaam dhalegi tu haath mera tham lena,
Dhalta suraj yaad rahega wo saanjh bhi koi bhula hai?
Wo din kaise bhula du maanjhi yaado mai jo ujla hai...





Wednesday, 25 December 2013

Uska Naam Aaye To Phir Rona Bhi Parta Hai....


Zindagi me jo chaho wo haasil kr lena... Magar khyal rakhna...
Tumhari kamyabi ka raasta kisi ke dil ko kuchalta hua na guzre..

Ho jao lakh tum kisi gair ke phir bhi
Tum mujhse mansoob rahoge mere hi kahlaoge..

Juda Honey K Mousam Main Juda Hona Bhi Parta Hai
Jisey Mushkil Se Paya Ho Usey Khona Bhi Parta Hai
Khudi Pe Maan Itna Hai Kabhi Murr Kr Nahi Dekha
Jisey Keh Dun K Mera Hai Usey Hona Bhi Parta Hai
Mujhy Neend Nahi Aati us ki Yaad Aaney K Baad
Magar Ek Khuwab Ki lalach Main Phir Sona Bhi Prta Hai
Hamisha Hansta Rehta Hun Chupa K Gham Mohabbat K
Magar Jb us ka Naam Aaye To Phir Rona Bhi Parta Hai.


Tuesday, 24 December 2013

Khuda ko pa chukay hotay jo krtay bandagi itni..

"Naa Mera Dil Bura tha ...!!! "Naa Us Main k0i Burai Thi...!!!
"Sub Muqaddar Ka Khel Hai Bus Qismat Main Hi Judai Thi.....!!!

Agr meri mohabat main na thi pakezgi itni
Tujhy nibhane mein phir kyu mushkil pari itni

Badal jao bhalay tum bhi magr ye zehen mai rakna
Kahin pachtawa na bann jaye hum say berukhi itni

Tujhy yun toot kr chaha wajud apna mita dala
Khuda ko pa chukay hotay jo krtay bandagi itni...

Thursday, 19 December 2013

Alvida Alvida Alvida ♥♥♥


♥♥♥ Palat Kar bhi na dekho.., Na tum aawaz do mujhko..,
Badi mushkil se seekha hai Tujh ko alvida Kehna...!!!



Teri dhadkan hi zindagi ka kissa hai mera..
Tu zindagi ka ek ahem hissa hai mera...
Ye mohabbat tujhse sirf lafzo ki nahi hai...
Teri rooh se rooh tak ka rishta hai mera...

I will wait for You♥♥♥Lets see who win♥♥♥
Mera Pyaar aur Gharibi♥♥♥ Ya Tumhari Khawaish aur Majburi♥♥♥

Wednesday, 18 December 2013

Jis Ki Jaan Ban Ke Chale The...........

Bohat Mushkil Ho Gaya Hai Khud Ko Sambhal Rakhna,,
Lekin Wo Keh Gaya Hai Apna Khayaal Rakhna..!!


Kisi Ne Tadapte Chhod Dia,
Kisi Ne Haath Pakadke Chhod Dia,
Hum To Kuch Aur Hi Samjhe The,
Par Kisi Ne Dil Lagake Chhod Dia.

Ghairo'n Se Shikva Nahee'n Hamein,
Humko To Apno Ne Bhi Chhod Dia,
Jis Ki Jaan Ban Ke Chale The,
Usne Bhi Hamein Jaan Ke Chhod Dia...


JO mujhse koi puche ki mai barbaad kyu hoon
to ungli utha k mai apne dil pe hi rakh loon
apne dil ko tere khayalon se kaise saaf karun
tujhe badnaam kar doon ya main tujhe maaf kar doon

Monday, 16 December 2013

In Khwahisho Ka Kya Inhe Dil Me Daba Lenge...

Tumhare Ehsaas Ki Parchhaiyaan Mere Saath Hain,
Main Ye Keise Keh Don K..Mera Koi "Humsafar" Nahin...
tum jao.. apni khushi dekho, hum dil ko mana lenge...
karega jab ye zid tum se milne ki...
udaas nagme suna.. isko bahla lenge...

tum jao.. hum dil ko kisi tarah mana lenge...
jab aankhen royengi, tab ansu bha lenge...
mahfil me honge to inko
muskurahto ke nichhe chhupa lenge...
aayega naam na tum pe hamari barbaadi ka...
hum khud ki barbadi ka zimevar
khud ko hi bta denge...

tum jao.. hum dil ko kisi tarah mana lenge...
rok tumko bhi nhi sakte,tumhari khushi ka sawal hai...
tum jao.. hum dil ko kisi tarah mana lenge...
aise udaas hokar mat jao, ke hamara dil na lagega...
agar humara rona achha nahi lagta
to kaho..hum chehre ko.. hasta hua bana lenge
in khwahisho ka kya inhe dil me daba lenge...

Friday, 6 December 2013

Mujh Pe Bharosa Nahin Use......

Tum Meri Rooh K Chadar Mei Aa K Chup Gaye Aise.........
K Rooh Nikle To Tu Nikle, Jo Tu Nikle To Rooh Nikle....

Mujh se Gile Hain Mujh Pe Bharosa Nahin Use,
Eeh Soch Kar Hum Ne B To Roka Nahin Use..!
Woh Shakhs Kabhi Chand Sitaron Se yeh Poochhe,
Hai Kon Si Woh Raat jab Socha Nahin Use..!

Alfaaz Teer Ban Ke Uterte Rahe Dil Mein,
Sunte Rahe chup chaap He Toka Nahin Use..!
Ae Dosto ! Yeh Mohabbat Nahin Asool-e-Wafa Hai,
Hum Jaan To Deinge Magar Dhoka Nahin Use !

Tuesday, 3 December 2013

Yeh Waqt Guzar Jayega Har Lamha Mit Jayega......



zindagi bahut badi hai khwab adhoora reh jayega
jitni bhi karoon koshish kuch kaam to reh jayega
pura hota hai kuch agar dil nayi hasrat layega
khwahishoon ka mela hai ek ke baad doosra aayega

soocha baandh loon main isse par waqt kahan ruk payega
ek lamhein ko thamta hoon to dusara fisalta jayega
fisal rahi hai yaadien bhi ye waqt ka khel kehlayega
bhari thi kasmein pyar ki woh pyar wahin reh jayega


kaun rukta hai kaun jaata yeh tanta laga reh jayega
main khada hoon kis jagah yeh koi nahin batlayega
soocha tha kal jiyunga aaj woh lamha fisal jayega
soochta hoon kal jiyunga woh pal jaane kab aayega

aaj ko maine dekha nahin kal usse saath le jayega
aaj ko maine jeeya nahin kal ki sooli pe chad jayega
aaj, yeh lamha, pal abhi agar tu ismein jee payega
aaj, yeh lamha, pal abhi jeeyega to kya shoak manayega

yeh waqt guzar jayega har lamha mit jayega
yeh waqt guzar jayega har lamha mit jayega



Tuesday, 22 October 2013

Muhabbat Ki Ek Nazar Kardo...




Meri Ankho Me Utar Aao Inhe Samander Kardo,
Kuch Der Sahi Muhabbat Ki Ek Nazar Kardo...

Toot Ke Yu Milo Arman Na Reh Jaye Koi,
Yu Muhabbat Ke Har Lamhe Ko Amar Kardo...

Tum pe Aye Na Waqt Kabhi Qayamat Jaisa,
Badi Mushkil Hai Judai Ise Mukhtasir Kardo...

Jin Ke Noor Se Mil Jaye Binai Mujhe,
Apne Khwabo Ko Meri Ankho Ki Nazar Kardo...

Duniya Ki Talab Nahi Yahi Hasrat Hai Meri,
Apni Baho Me Lo Aur Duniya Se Be-Khabar Kardo...

Tuesday, 15 October 2013

Jo ghar se door hoon main

Jo ghar se door hoon main
Na jane kyu majboor hoon main
Zindagi banane ki chahat mein
Zindagi se door hoon main

Mai raaton ko rota hoon
Gharon ko yaad karta hoon
sisak sisak k sota hoon
saham saham k rahta hoon

Zindagi banane ke liye
Ghar se door nikal aaya hoon
Sapno ko paane ki chahat mein
Apno ko door Chhod aaya hoon

Jab raaton ko mai louta hoon
sukoon se door hota hoon
Ghutan aur bebasi k pehre mein
mai thankaan se choor hota hoon

Mai un sab ko kahta hoon
Mai sukoon se rahta hoon
Mai Apna dhyan rakhta hoon
Aur tumhe yaad karta hoon

Kar leta hoon samjhouta
Jab ye dil bilakta hai
kai pahro sulagta hai
jab ghar se door hota hai

Tuesday, 17 September 2013

kisi ko khona padta hai kisi ka hona padta hai

Kahan Sawaab Kahan Kya Azaab Hota Hai,
Mohabbaton Main Kab Itna Hisaab Hota Hai,
Bichad Ke Mujhse Tum Apni Kashish Na Kho Dena,
Udaas Rehne Se Chehra Kharaab Hota Hai,
Use Pata Hi Nahi Hai Ke Pyaar Ki Baazi,
Jo Haar Jaaye Wohi Kamiyaab Hota Hai,
Bahut Bharosa Na Kar Lena Apni Aankhon Par,
Dikhaai Deta Hai Jo Kuch Wo Khwaab Hota Hai
talab ki raah mein paane se pehle khona padta hai
bade sode nazar mein hon to chhota hona padta hai
zuban deta hai jo ae dard teri bezubani ko
usi aansu ko phir aankhon se bahar hona padta hai
mohabbat zindagi ke faislon se lad nahi sakti
kisi ko khona padta hai kisi ka hona padta hai

Friday, 6 September 2013

Wapas Kis Taraf Jaon




Chalo tum kah rahe ho to Mai wapas lout jata hoon
Tumhain manzil mubarak ho Naya saathi mubarak ho
Magar aey hamdam mere Mujh ko itna batla do
Kay wapis kis taraf jaon Kahan say saath liye they
Mujhay itna to samjha do Agar aisa nahi mumkin
To mujhko is tarah todo Kay mai puri tarah bikhar jaon
Bhatakney say to behtar hai Tumhaaray paas mar jaon
Chalo tum kah rahe ho to Mai wapis lout jata hoon.....!
Mujh ko itna batla do Kay wapas kis taraf jaon…!


Monday, 17 June 2013

Jo Mumkin Ho Agar Mujhe Bhool Jana

Tera Na Milna Mera Naseeb Hi Sahi Lekin,
Meri Qismat Mein Likha Hai Tujhe Toot Ke Chahna


Tum Mujhse Kahin Door Chale Jana
Apne Hatoon Ke Lakeer Se Meri Naam Mita Dena
Main Kya Hun Tera Yeh Kisi Ko Na Batana
Jo Mumkin Ho Agar Mujhe Bhool Jana

Najron Se Hi Nahi, Is Dil Se Bhi Door Jana
Yaha Tanha Aaye The Hum Tanha Hai Lout Jana
Mujhe Piche Se Phir Tum Aawaz Na Lagana
Ye Guzarish Hai tumse, Mujhe Bhool Jana

Khawabon Ke Saath Meri Saari Yaadein Mita Dena
Jo Raah Mein Mil Jaayein To Nazar Na Milana
Aur Humari Yaadon Me Kabhi Aasun Na Bahana
Jo Mumkin ho Agar Mujhe Bhool Jana...



Wednesday, 20 March 2013

Khuda ka naam pe yun door na jana tha



Tumhe to jana tha tum yuhi chup chap chale jate
mere gharibi ya majburiyon ka bahana bana dete
khuda ka naam pe yun door na jana tha
Humara milna us RAB ka hi nazrana tha...

Tumhe to bichadna tha Tum yuhi door ho jaate
mere naseeb mein na hone ka bahane bana dete
Khuda ke Naam yun bichad ke na jaana tha
saath guzre pal k liye us rab ka hi shukrana tha

Tumhe to kisi aur ka hona tha Tum yuhi ho jaate
Mere Lachaari aur bebasi ka bahana bana dete
Khuda Ke naam pe yun kisi aur ke bahon mein na jaana tha
Uske mil jane par khuda k aage do sajda kar jaana tha

Thursday, 31 January 2013

Uski Mohabbat Pe Aitbaar Karte Rahe






Unki Mohabbat Ki Aarzu Hum Umar Bhar Karte Rahe
Jitna Chaha Kareeb Jaana Woh Mujhse Door Jaate Rahe,
Mujhe Na Tha Koi Tajurba Is Raah-e-Mohabbat Ki
Jara Si Thes Lagi Pairon Mein To Hum Bikharte Hi Rahe,

Humne Khud Se Bhi Chupaaya Tha Tere Jaane Ki Khabar
Hue Jab Tanha To Dar-o-Diwar Se Baatein Karte Rahe,
Woh Na Aayega Aaj Ki Raat ye Bhi Mujhe Maloom Hai
Jaane Kis Baat Per Hum Uski Mohabbat Pe Aitbaar Karte Rahe

Thursday, 24 January 2013

Meri haar ye jaruri to nai !

Tujhe mai bhool jao ye zaruri to nai
hum tumse door jaye ye jaruri to nai
humari mohabbat khinch layegi ki tumhe
har baar tum mukar jao ye jaruri to nai

Tujhe mujhpe ho aitbaar ye jaruri to nai
Ho Qismat Par Ikhtiyar Ye Zaroori to Nahi Hai
Is zindagi ko khawaish hai tumhari
magar tum mujhe mil jao ye jaruri to nai

Dhoop mai saye-e-deewar jaruri to nahi,
tere baad koi aur pyaar jaroori to nahi,
Jeet lenge tumko ek din duniya se,
Har baar ho meri haar ye jaruri to nahi




Roz rote hue mujhse ek hi baat kahti hai meri Zindagi
Sirf Ek hi Khawaish ki Khatir mujhe yun Barbaad na kar.......

Tuesday, 15 January 2013

Taqdeer kaha karti thi.....



sath roti thi mere saath hansa karti thi
wahi jo mere dil mein basa karti thi
mere chahat ki talabgar thi wo is kadar ki
mandiron mein bhi mujhse milne ki dua karti thi
ek pal ka bichadna bhi gawara na tha usko
rote rote vo mujhko khud se juda karti thi
mere dil mein rahi wo meri dhadkan bankar
aur saanso ki tarah saath chala karti thi
baat kismat ki thi yaaron jo juda ho gaye hum
warna wo to mujhe apna taqdeer kaha karti thi....

Maa mai ghar loutna chahata hoon.....




Yun to kai bar majburiyon ne jhukaya hai mujhe sabke aage
thokar kha ke jo gira to bhi thokar lagaya hai duniya ne mujhe
mai teri kadmo me dilse phir jhukna chahta  hoon
teri daaman ka sahahra se phir chalna chahta hoon
Maa mai ghar loutna chahata hoon.....

Meri galtiyon pe mujhe kosa jata hai
mujhe daant k kai baar bhagaya jata hai
mai bachpan ki wo nadaaniyan dohrana chahta hoon
tera pyar bhara wo gussa mai sahna chahta hoon
Maa mai ghar loutna chahata hoon.....

is duniya ko mujhme kharabiya nazar aati hai
meri harkaton mein unhe buraiyan nazar aati hai
mai phir tere nazaron ka laadla banna chahta hoon
duniya ka sabse accha beta sunnna chahta hoon..
Maa mai ghar loutna chahata hoon.....


Yun to mere sach per bhi aitbaar nai karte hai
mere halaat pe mere haar pe sab dil khol k haste hai
mere haar pe bhi teri wo muskurahat dekhna chahta hoon
phir himmat kar k is duniya se ladna chahta hoon
Maa mai ghar loutna chahata hoon.....

yun to khane k niwale milte hai magar
in niwalon mein pyar ka ek katra nai milta
khana to khoob khata hoon magar is pet ki bhook nai marta
tere hathon ka do niwale khana chahta hoon
Maa mai ghar loutna chahata hoon.....


ghor andhere saaye mein jab dar mujhe lagta hai
aansuon ki baarish se daaman bhig jata hai
in pareshaniyon se rukh modna chahta hoon
teri god mein chain ki neend sona chahta hoon
Maa mai ghar loutna chahata hoon.....

kishton kishton mein ghut ghut k mar raha hoon
tere aanchal k saaye mein sona chahta hoon
thak gaya hoon khud ko sambhalte sambhalte
teri ungliya pakad k phir do pag chalna chahta hoon
Maa mai ghar loutna chahata hoon.....
Maa mai ghar loutna chahata hoon.....
Maa mai ghar loutna chahata hoon.....

 

Wednesday, 9 January 2013

Ye shaks bhi use yaad nai



Jab bijliyan chamakti thi aur aur badal garazte the
Wo barsaat mein humdono ka bhigna bhi use yaad nai
Woh saahil samandra hawa aur vaada saath nibhane ka
chaand ko dekha karna saath mein wo raat bhi use yaad nai
Woh kahti thi mai sunta tha mai kahta tha wo sunti thi
Un laakho baaton main ek baat bhi use yaad nai
Mai tanha hoon mai ruswa hoon par mohabbat usse karta hoon
is shaksh ne use kabhi chaha tha kya ye shaksh bhi use yaad nai