Khuda Meri Hifazat Karna !

Tu Agar Mujhe Nawaze To Tera Karam Hai Mere ALLAH ! Warna Tere Rahmaton K Kabil Meri Bandagi Nahi Hai....

Friday, 6 March 2015

Mere Sath Rahti ho.....

Akele Pan Me Bigri Hain Adatein Meri
Wo Laut Aye To Mumkin Hai Sudhar Jaun Mai...
Tum mujh se juda ho kar bhi mere sath rehti ho,
Tum mujh se door ho lekin, mere tum pas rehti ho,
Kabhi dard ki surat main, kabhi meri hi murat main,
Kabhi yaron ki sohbat main, kabhi tanhai ki lazzat main,
Tum mujh se door ho lekin, mere tum paas rehte ho,

Main jab ghar se nikalta tha, meri tum soch ban jate,
Mujhe jo shakhs nazar ata, us main tum nazar ate,
Tum mujh se door ho chahe, meri tum paas rehte ho,
Tum mujh se door ho lekin, mere tum paas rehte ho,

Jab main tanha hota to, tum meri awaz ban jate,
Mere andaz ban jate, mere alfaz ban jate,
Jitny dard thy mery, youn abad rehte ho,
Tum mujh se door ho lekin, mere tum pas rehte ho,

Tum mere khyalon main. jawabon main, sawalon main,
Shamon ki udasi main. subha k ujalon main,
Aur mere dil ke aangan main, hamesha khas rehte ho,
Tum mujh se door ho lekin, mere tum pas rehte ho,

Mujhe tum ye batao ke, mujhe kya yaad karte ho,
Kabhi mere kahe alfaz, tujhe doharaya karti ho,
Kya andar se tum bhi, youn hi udas rehte ho,
Tum mujh se door thy lekin, mere tum pas rehte ho..