Khuda Meri Hifazat Karna !

Tu Agar Mujhe Nawaze To Tera Karam Hai Mere ALLAH ! Warna Tere Rahmaton K Kabil Meri Bandagi Nahi Hai....

Friday, 3 January 2014

Tera pyaar to mera sab kuch hai tere pyar se khud ko janne lge hain

Dhuwain ki lehar pay tasweer raqs karti rahi
Wo ciggeratoun k tasalsul main yaad aata raha !!!!
Akela kahan tha main kbhi b saath tum jo the chalne k liye
tumse pyaar hona kaafi tha meri zindagi badalne k liye
mar mar k b jeena tha aakhir ye saath nibhana tha
jannat ki chah kise thi hume teri baahon me aana tha

ek inaam mila ek saza mili dono apnaye ja rahe hain
inaam ye tumhe pyaar krte hain saza ye pyaar kar nhi pa rhe hain
tune chand dikhaya din me hme to sooraj raat me b nikalne laga
teri yaadon ki dhoop se dil mera ab bahut jyada hi kuch jalne laga
teri aawaz sunna chahte hain chehra dekhne ko taras jate hain
lakh door tum aankhon se mere par dil ke bhut kareeb pate hain
tera pyaar to mera sab kuch hai tere pyar se khud ko janne lge hain
hum khud se paraye ho rahe hain tumhe itna apna maanne lage hain.

Wednesday, 1 January 2014

saaf keh do na......................

HAPPY NEW YEAR .....
pichley baras tha khauf, tujhe kho na dun kahin,
ab k baras dua hai, tera saamna na ho....
nahi acha koi ishaara .... saaf keh do na
kahan tak sath do gay tum hamara .... saaf keh do na
judai ki tarha darya b apne sath chalta hai
nahi milta kinare se kinara .... saaf keh do na
bahane apni majhbori k Q aa kar sunate ho
qasoor is men nahi koi tumhara .... saaf keh do na
hamen tanhai k taaney tu mat do gair k aagey
ke hum b dhond len koi sahara .... saaf keh do na
hamare haath ki aksar lakeerein milti julti hain
magar milta nahi apna sitara .... saaf keh do na..!!