Khuda Meri Hifazat Karna !

Tu Agar Mujhe Nawaze To Tera Karam Hai Mere ALLAH ! Warna Tere Rahmaton K Kabil Meri Bandagi Nahi Hai....

Sunday, 29 December 2013

Ye zindagi badal rahi hai har Pal shayad ye waqt

Us Ki Aankhoon Main Nazar Aata Hai Saara Jahan Mujh Ko
Afsoos K Un Aankhoon Main Kabhi Khud Ko Nahi Dekha…!!!
Ae waqt zara tham ja yahi do pal tujhse baat karlu,
Ek Lamha mera Haseen hai yaha us se zara mulakaat kar lu,
Ye zindagi badal rahi hai har Pal shayad ye waqt fir mil na paye,
Kuch Lamho ki jhalak pa lu fir se mitti ki tarah kahi fisal na jaye,
Mai chal pada hu nayi raaho mai ab to sab kuch badla badla hai,
Ek nayi kiran hai aasha ki jeevan mai roshni se sab kuch ujla hai,
Sunahri hai raahe meri ab to chaya ka har pal dera hai,
Sapno mai dekha tha kabhi aisa ujla savera hai,
Mai chalta jau raaho par jeevan badalta jayega,
Ye waqt jo hai beet raha lautkar nahi aayega,

Mai piche mudkar dekhta hu raahein meri tanha hai,
Chal raha aaj mai jin par waha na koi apna hai,
Tum yaad aate ho mujhko kya khub tumhara saath raha,
Har pal khusiya rahi waha par jab haath mai tera haath raha,
Tu manzil tak saath nahi teri yaadein mere saath hai,
Aankhe meri nam hai to kya in aankho mai tu aabad hai,
Chalte chalte waqt kabhi aisa bhi ek mod laye,
Ho suhani shaam kahi panchi bhi ek sur mai gaaye,
Ho pahad nadiya jharne aur dhalte suraj ki saanjh ho,
Teri khushbu hawao mai ho aahat ka silsila aam ho,
Mai sunkar teri aahat fir se taras jau tere deedar ko jaise,
Tu palatkar dekhe mujh ko aur baras jaye har baar jaise,

Ae saanjh kabhi tu aa lautkar mai palake bichaye baitha hu,
Tujhe kya malum hoga apno ke bin mai kaisa hu,
Kuch yaado mai tarsate hai kuch dil ko mere tadpaate hai,
Wo din bhi mujhko yaad hai ab tak kaise hum sab bichad jate hai,
Ek din tha jab anjaan thi duniya sab kuch jaise paraya tha,
Dhire dhire waqt kya guzra sab ne mujhe apnaya tha,
Haseen si duniya khwabo jaisi sach hokar jaise aayi thi,
Wo rishtey kitne khaas hai jinse ek nayi duniya sajayi thi,
Wo dhalta suraj le gaya khusiya meri dur mujhse,
Mai rok na paya waqt ko bhi sapna hua ho chur jaise,
Ab yaado ka hai silsila aur tasveero ka sahara hai,
Tujhe batau kaise humdum kaise mera guzara hai,
Yaar mere tu aa lautkar ek nayi kahani likh dunga,
Ae waqt lautkar aa fir se tasveer purani badal dunga,
Mai dekhunga palatkar tujhko us din tu mera naam lena,
Zindagi ki jab shaam dhalegi tu haath mera tham lena,
Dhalta suraj yaad rahega wo saanjh bhi koi bhula hai?
Wo din kaise bhula du maanjhi yaado mai jo ujla hai...





Wednesday, 25 December 2013

Uska Naam Aaye To Phir Rona Bhi Parta Hai....


Zindagi me jo chaho wo haasil kr lena... Magar khyal rakhna...
Tumhari kamyabi ka raasta kisi ke dil ko kuchalta hua na guzre..

Ho jao lakh tum kisi gair ke phir bhi
Tum mujhse mansoob rahoge mere hi kahlaoge..

Juda Honey K Mousam Main Juda Hona Bhi Parta Hai
Jisey Mushkil Se Paya Ho Usey Khona Bhi Parta Hai
Khudi Pe Maan Itna Hai Kabhi Murr Kr Nahi Dekha
Jisey Keh Dun K Mera Hai Usey Hona Bhi Parta Hai
Mujhy Neend Nahi Aati us ki Yaad Aaney K Baad
Magar Ek Khuwab Ki lalach Main Phir Sona Bhi Prta Hai
Hamisha Hansta Rehta Hun Chupa K Gham Mohabbat K
Magar Jb us ka Naam Aaye To Phir Rona Bhi Parta Hai.


Tuesday, 24 December 2013

Khuda ko pa chukay hotay jo krtay bandagi itni..

"Naa Mera Dil Bura tha ...!!! "Naa Us Main k0i Burai Thi...!!!
"Sub Muqaddar Ka Khel Hai Bus Qismat Main Hi Judai Thi.....!!!

Agr meri mohabat main na thi pakezgi itni
Tujhy nibhane mein phir kyu mushkil pari itni

Badal jao bhalay tum bhi magr ye zehen mai rakna
Kahin pachtawa na bann jaye hum say berukhi itni

Tujhy yun toot kr chaha wajud apna mita dala
Khuda ko pa chukay hotay jo krtay bandagi itni...

Thursday, 19 December 2013

Alvida Alvida Alvida ♥♥♥


♥♥♥ Palat Kar bhi na dekho.., Na tum aawaz do mujhko..,
Badi mushkil se seekha hai Tujh ko alvida Kehna...!!!



Teri dhadkan hi zindagi ka kissa hai mera..
Tu zindagi ka ek ahem hissa hai mera...
Ye mohabbat tujhse sirf lafzo ki nahi hai...
Teri rooh se rooh tak ka rishta hai mera...

I will wait for You♥♥♥Lets see who win♥♥♥
Mera Pyaar aur Gharibi♥♥♥ Ya Tumhari Khawaish aur Majburi♥♥♥

Wednesday, 18 December 2013

Jis Ki Jaan Ban Ke Chale The...........

Bohat Mushkil Ho Gaya Hai Khud Ko Sambhal Rakhna,,
Lekin Wo Keh Gaya Hai Apna Khayaal Rakhna..!!


Kisi Ne Tadapte Chhod Dia,
Kisi Ne Haath Pakadke Chhod Dia,
Hum To Kuch Aur Hi Samjhe The,
Par Kisi Ne Dil Lagake Chhod Dia.

Ghairo'n Se Shikva Nahee'n Hamein,
Humko To Apno Ne Bhi Chhod Dia,
Jis Ki Jaan Ban Ke Chale The,
Usne Bhi Hamein Jaan Ke Chhod Dia...


JO mujhse koi puche ki mai barbaad kyu hoon
to ungli utha k mai apne dil pe hi rakh loon
apne dil ko tere khayalon se kaise saaf karun
tujhe badnaam kar doon ya main tujhe maaf kar doon

Monday, 16 December 2013

In Khwahisho Ka Kya Inhe Dil Me Daba Lenge...

Tumhare Ehsaas Ki Parchhaiyaan Mere Saath Hain,
Main Ye Keise Keh Don K..Mera Koi "Humsafar" Nahin...
tum jao.. apni khushi dekho, hum dil ko mana lenge...
karega jab ye zid tum se milne ki...
udaas nagme suna.. isko bahla lenge...

tum jao.. hum dil ko kisi tarah mana lenge...
jab aankhen royengi, tab ansu bha lenge...
mahfil me honge to inko
muskurahto ke nichhe chhupa lenge...
aayega naam na tum pe hamari barbaadi ka...
hum khud ki barbadi ka zimevar
khud ko hi bta denge...

tum jao.. hum dil ko kisi tarah mana lenge...
rok tumko bhi nhi sakte,tumhari khushi ka sawal hai...
tum jao.. hum dil ko kisi tarah mana lenge...
aise udaas hokar mat jao, ke hamara dil na lagega...
agar humara rona achha nahi lagta
to kaho..hum chehre ko.. hasta hua bana lenge
in khwahisho ka kya inhe dil me daba lenge...

Friday, 6 December 2013

Mujh Pe Bharosa Nahin Use......

Tum Meri Rooh K Chadar Mei Aa K Chup Gaye Aise.........
K Rooh Nikle To Tu Nikle, Jo Tu Nikle To Rooh Nikle....

Mujh se Gile Hain Mujh Pe Bharosa Nahin Use,
Eeh Soch Kar Hum Ne B To Roka Nahin Use..!
Woh Shakhs Kabhi Chand Sitaron Se yeh Poochhe,
Hai Kon Si Woh Raat jab Socha Nahin Use..!

Alfaaz Teer Ban Ke Uterte Rahe Dil Mein,
Sunte Rahe chup chaap He Toka Nahin Use..!
Ae Dosto ! Yeh Mohabbat Nahin Asool-e-Wafa Hai,
Hum Jaan To Deinge Magar Dhoka Nahin Use !

Tuesday, 3 December 2013

Yeh Waqt Guzar Jayega Har Lamha Mit Jayega......



zindagi bahut badi hai khwab adhoora reh jayega
jitni bhi karoon koshish kuch kaam to reh jayega
pura hota hai kuch agar dil nayi hasrat layega
khwahishoon ka mela hai ek ke baad doosra aayega

soocha baandh loon main isse par waqt kahan ruk payega
ek lamhein ko thamta hoon to dusara fisalta jayega
fisal rahi hai yaadien bhi ye waqt ka khel kehlayega
bhari thi kasmein pyar ki woh pyar wahin reh jayega


kaun rukta hai kaun jaata yeh tanta laga reh jayega
main khada hoon kis jagah yeh koi nahin batlayega
soocha tha kal jiyunga aaj woh lamha fisal jayega
soochta hoon kal jiyunga woh pal jaane kab aayega

aaj ko maine dekha nahin kal usse saath le jayega
aaj ko maine jeeya nahin kal ki sooli pe chad jayega
aaj, yeh lamha, pal abhi agar tu ismein jee payega
aaj, yeh lamha, pal abhi jeeyega to kya shoak manayega

yeh waqt guzar jayega har lamha mit jayega
yeh waqt guzar jayega har lamha mit jayega