Khuda Meri Hifazat Karna !

Tu Agar Mujhe Nawaze To Tera Karam Hai Mere ALLAH ! Warna Tere Rahmaton K Kabil Meri Bandagi Nahi Hai....

Tuesday, 3 December 2013

Yeh Waqt Guzar Jayega Har Lamha Mit Jayega......



zindagi bahut badi hai khwab adhoora reh jayega
jitni bhi karoon koshish kuch kaam to reh jayega
pura hota hai kuch agar dil nayi hasrat layega
khwahishoon ka mela hai ek ke baad doosra aayega

soocha baandh loon main isse par waqt kahan ruk payega
ek lamhein ko thamta hoon to dusara fisalta jayega
fisal rahi hai yaadien bhi ye waqt ka khel kehlayega
bhari thi kasmein pyar ki woh pyar wahin reh jayega


kaun rukta hai kaun jaata yeh tanta laga reh jayega
main khada hoon kis jagah yeh koi nahin batlayega
soocha tha kal jiyunga aaj woh lamha fisal jayega
soochta hoon kal jiyunga woh pal jaane kab aayega

aaj ko maine dekha nahin kal usse saath le jayega
aaj ko maine jeeya nahin kal ki sooli pe chad jayega
aaj, yeh lamha, pal abhi agar tu ismein jee payega
aaj, yeh lamha, pal abhi jeeyega to kya shoak manayega

yeh waqt guzar jayega har lamha mit jayega
yeh waqt guzar jayega har lamha mit jayega



No comments:

Post a Comment