Khuda Meri Hifazat Karna !

Tu Agar Mujhe Nawaze To Tera Karam Hai Mere ALLAH ! Warna Tere Rahmaton K Kabil Meri Bandagi Nahi Hai....

Thursday, 25 December 2014

Ek Bewafa Ki Fiker Main...

Chaha Tha Jise Usey Bhulaya Na Gaya
Zakhm Dil Ka Logo Se Chhupaya Na Gaya
Bewafai Ke Baad Bhi Itna Pyar Karta Hai Dil Usey
Ki Bewafai Ka Ilzam Bhi Us Par Lagaya Na Gaya...

Dard ki Aah hai Aansuo ke safer main
Ro rahi hai nazer eak bewafa ki fiker main

tod ke dil mera woh toh chali bhi gayi
dhondti hai nazer use her shaam o saher main

yaad tere pyaar ki bahon main leke rote hai
rakhty hai jatan se tera hii dard jiger main

qaid tha dil main tera hi dard ta umer ke liye
mar rahi thi her aarzo dard ke es safer main

manghty thy eak lamha tujhe bhoolne ka zindaghi se
per dikh rahi thi maot hame us lamhe ke qaher main

gham khaar raho pe lad khada rahi thi bebasi meri
cheekhty rah gaya ye aanso bhi nazer main

Dard ki Aah hai Aansuo ke safer main
Ro rahi hai nazer eak bewafa ki fiker main

Saturday, 13 December 2014

Khud Ke Liye Veerana Likha Maine...

Ajab Tarah Se Socha Hai Zindagi K Liye,
Zakham Zakham Likhte Hain Har Kushi K Liye,
Wo Shaks Muje Bhool Gaya To Yaqeen Aya,
Koi Bhi Shaks Zaroori Nahi Kisi K Liye...



Saari Raat Baith Ke Apni Barbadi Ka Afsana Likha Maine,
Jab Bhi Kalam Uthai Khud Ko Hi Deewana Likha Maine,

Ye Vadiyan Ye Manjar Ye Chand Sitare Lagte Hai Apne Se,
In Apnon Ke Beech Apne Hi Dil Ko Begana Likha Maine,

Kabhi Sath Rahte The Mere Wo Saya Bankar,
Aaj Unhi Pyar Ke Lamho Ko Beeta Zamana Likha Maine,

Wo Mujhse Pyar Kar Ke Bhi Rahte Hai Gairon Ke Sath Mein,
Unki Is Bewafai Ko Bhi Majboori Ka Bahana Likha Maine,

Jab Jal Gaye Mere Arman Uske Pehlu Mein Aakar,
Tab Usko Ek Shama Aur Khud Ko Parvana Likha Maine,

Jab Lagi Hath Mere Mukaddar Ki Kalam Khuda Janta Hai,
Uski Taqdeer Mein Zamana Aur Khud Ke Liye Veerana Likha Maine...