Khuda Meri Hifazat Karna !

Tu Agar Mujhe Nawaze To Tera Karam Hai Mere ALLAH ! Warna Tere Rahmaton K Kabil Meri Bandagi Nahi Hai....

Wednesday, 26 February 2014

Yaad karke mujhe taklif hi hoti hogi

Us Se Kehna Hum Mazay Main Hain, Bas Yaadain Bohat Stati Hain,
Un Ki Doori Ka Gham Nahi Mujhe, Bas Zara Aankhain Bheeg Jati Hain.....


 Yaad karke mujhe taklif hi hoti hogi,
Aik qisa hoon purana sa bhula de mujhko
Doobte doobte aawaz teri sun jaun
Akhri baar tu sahil se sada de mujhko

Main tere hijr main chup chaap na mar jaun kahin
Main hoon sakte main kabhi aake rula de mujhko
Dekh main hogaya badnam kitabon ki tarah
meri tasheer na kar ab tu jala de mujhko

Roothna tera meri jaan lie jata hai
Aese naraz na ho haske dikhade mujhko
Aur kuch bhi nahi manga mere malik tujhse
Uski galion main pari khak banade mujhko

Log kehte hain ke ye ishq nigal jata hai
Main bhi is ishq mai aya hun, dua de mujhko
Yahi oqat hai meri tere jeevan main ke main
Koi kamzor sa lamha hun bhula de mujhko.........


No comments:

Post a Comment