humain tamanna thi tumain pane ki
Aur tumain tamanna thi humain aazmane ki
humain tamanna thi bus ik tumhari chahat ki
Aur tumain tamna thi sare zamane ki !!!
Muqadar Ke Sitaron Pe Zamano Ke Esharo Pe
Udasi Ke Kinaro Pe Kabhi Veran Shehro Main
Kabhi Sunsan Rasto Pe Kabhi Heran Ankho Main
Kabhi Bejan Lamho Main Tumari Yaad Chup Ke Se
Koi Sargoshi Kerti Hai Ye Palkein Bheg Jati Hain
Tu Aanso Tut Girte Hain Hum Palko Ko Jhukate Hain
Bazahir Muskurate Hain Faqat Itna Hi Kehte Hain
Mujhe Kitna Satate Ho Mujhe Tum Yaad Aate Ho

No comments:
Post a Comment