Khuda Meri Hifazat Karna !

Tu Agar Mujhe Nawaze To Tera Karam Hai Mere ALLAH ! Warna Tere Rahmaton K Kabil Meri Bandagi Nahi Hai....

Thursday, 31 January 2013

Uski Mohabbat Pe Aitbaar Karte Rahe






Unki Mohabbat Ki Aarzu Hum Umar Bhar Karte Rahe
Jitna Chaha Kareeb Jaana Woh Mujhse Door Jaate Rahe,
Mujhe Na Tha Koi Tajurba Is Raah-e-Mohabbat Ki
Jara Si Thes Lagi Pairon Mein To Hum Bikharte Hi Rahe,

Humne Khud Se Bhi Chupaaya Tha Tere Jaane Ki Khabar
Hue Jab Tanha To Dar-o-Diwar Se Baatein Karte Rahe,
Woh Na Aayega Aaj Ki Raat ye Bhi Mujhe Maloom Hai
Jaane Kis Baat Per Hum Uski Mohabbat Pe Aitbaar Karte Rahe

No comments:

Post a Comment