Khuda Meri Hifazat Karna !

Tu Agar Mujhe Nawaze To Tera Karam Hai Mere ALLAH ! Warna Tere Rahmaton K Kabil Meri Bandagi Nahi Hai....

Wednesday, 20 March 2013

Khuda ka naam pe yun door na jana tha



Tumhe to jana tha tum yuhi chup chap chale jate
mere gharibi ya majburiyon ka bahana bana dete
khuda ka naam pe yun door na jana tha
Humara milna us RAB ka hi nazrana tha...

Tumhe to bichadna tha Tum yuhi door ho jaate
mere naseeb mein na hone ka bahane bana dete
Khuda ke Naam yun bichad ke na jaana tha
saath guzre pal k liye us rab ka hi shukrana tha

Tumhe to kisi aur ka hona tha Tum yuhi ho jaate
Mere Lachaari aur bebasi ka bahana bana dete
Khuda Ke naam pe yun kisi aur ke bahon mein na jaana tha
Uske mil jane par khuda k aage do sajda kar jaana tha

No comments:

Post a Comment