Khuda Meri Hifazat Karna !

Tu Agar Mujhe Nawaze To Tera Karam Hai Mere ALLAH ! Warna Tere Rahmaton K Kabil Meri Bandagi Nahi Hai....

Monday, 17 June 2013

Jo Mumkin Ho Agar Mujhe Bhool Jana

Tera Na Milna Mera Naseeb Hi Sahi Lekin,
Meri Qismat Mein Likha Hai Tujhe Toot Ke Chahna


Tum Mujhse Kahin Door Chale Jana
Apne Hatoon Ke Lakeer Se Meri Naam Mita Dena
Main Kya Hun Tera Yeh Kisi Ko Na Batana
Jo Mumkin Ho Agar Mujhe Bhool Jana

Najron Se Hi Nahi, Is Dil Se Bhi Door Jana
Yaha Tanha Aaye The Hum Tanha Hai Lout Jana
Mujhe Piche Se Phir Tum Aawaz Na Lagana
Ye Guzarish Hai tumse, Mujhe Bhool Jana

Khawabon Ke Saath Meri Saari Yaadein Mita Dena
Jo Raah Mein Mil Jaayein To Nazar Na Milana
Aur Humari Yaadon Me Kabhi Aasun Na Bahana
Jo Mumkin ho Agar Mujhe Bhool Jana...



2 comments: