Khuda Meri Hifazat Karna !

Tu Agar Mujhe Nawaze To Tera Karam Hai Mere ALLAH ! Warna Tere Rahmaton K Kabil Meri Bandagi Nahi Hai....

Saturday, 5 January 2013

Wo Ab Humara Nahin..

 
 
                          KISMAT NE MERE ISHQ KO NAKAAM KARDIYA MUJHKO MERI WAFAON NE BADNAAM KARDIYA    
                       KHAWAB DEKHTE RAHE JISKE HUMNE RAAT DIN USNE HI MERE KHABON KO NILAAM KARDIYA
Raahi hum us raah ke jiski koi manzil nahin
Musafir hum us kashti ke jiska koi saahil nahin
Wada kiya gaya tha humse har raah, har mod par saath dene ka
Aaj majdhar mein hai kashti aur uska koi sahara nahin

Humare dil pe kya guzree yeh usne poochha tak nahin
lipat ke mujhse usne do aansu bahaya bhi nahin
humne bhi muskurate hue use alvida kah diya
par uske loutne ka aasra humne dil se ab tak mitaya nahin

Dukhon ke is sagar mein rahat ko koi kinara nahin
Hun main majhdhar mein chaahat ka koi sahara nahin
Door kahin ik din ik pal ik saathi ka aasra dikha tha
Aur phir main raha akela, wo saathi... humrahi nahin........

No comments:

Post a Comment