Khuda Meri Hifazat Karna !

Tu Agar Mujhe Nawaze To Tera Karam Hai Mere ALLAH ! Warna Tere Rahmaton K Kabil Meri Bandagi Nahi Hai....

Saturday, 15 October 2011

A TRIBUTE TO ALL THOSE WHO IS OUT FROM THEIR HOME AND MISS THEIR MOM......

Maa  mujhe teri har waqt yaad aati hai
Duniya ki bhag doud me mai jab thak ke baith jata hu
pairo me ek azeeb si akadan mehsus hone lagta  hai
bachpan me wo tera mere pairo me tel lagana yaad aata hai
maa mujhe teri har waqt yaad aati hai.........

aksar mere pet me ek azeeb si bhook mehsuus hota hai
tab bachpan ka wo tere haathon k niwale yaad aata hai
din bhar ki thakaan se jab sir mera chakrata hai
pyar se wo tera, mere sir pe haath ferna yaad aata hai
maa mujhe teri har waqt yaad aati hai........

raaton mein aksar mai jab tanha sa ho jata hu
teri mamta ki goud ko bus yaad karte karte so jata hu
sach kahti thi tu mere pareshaniyon se tang hokar
bahut pachtaounga mai tujhse door hokar
aaj mera dil na jaane kyu bhar aaya hai
muddat se aye maa jo tune sine se nahi lagaya hai
door ho gaya hu tujhse jab kuch kahne ka waqt aaya hai
maa o.. meri maa mujhe har waqt tera yaad aaya hai............


1 comment: