Jin raaston pe mai rukh kar ke chal raha hu
un raaston ki manzil hai wo
Jisko paane ki chahat mein mai din-raat jal raha hu
un chahto ki Siddat hai wo
jiske liye mai khud se bagawat karne lag gaya hu
un bagawaton ki sohrat hai wo
jiske mil jaane se meri zindagi me mehfile saj jaye
aise mehfilon ki barkat hai wo
mai apni zindagi k badle bhi na chuka pao jo keemat
aisi beshkimti doulat hai wo
do jaha luta chuka hu jis ki khawaish mein
aise khawaisho ka maqsad hai wo
jise mai din raat duo mein maang raha hu
in duaon ki fariyad hai wo
bahte hai jiske liye mere aankhon se ashk
un ashko ki sougat hai wo
jiske begair zindagi gujarna lagta hai mushkil
pal-pal tadpati aisa dard hai wo
jiske haansil ho jaane par aur kuch na khawaish ho
aisa raah-e-te sukoon hai wo
kya wo mere liye sirf ek ehsaas hai
agar ehsaas hai to phir kyu itna khaas hai
nai jaanta wo meri mohabbat hai ya meri zindagi
agar wo meri mohabbat hai
to mere dil ki har dhadkan hai wo
aur agar wo meri zindagi hai
to is zindagi ki har saans mein shaamil hai wo

teri tarah teri poetry b shaandar hai....
ReplyDelete