jo mujhe sukoon de sake ab aise dar ki talash hai
vo gunaah ho ya sawab ho mujhe us amal ki talaash hai
mere sare sapne bikhar gae main to choor choor hun ho chuka
jo mujhe samet ke rakh sake aisa ek Ghar ki talash hai
khafa hun har ek rishte se ki sila hai inse mila nahi
jis rishte ka nahi naam ho ab usiki mujhko talash hai
mere dil ke itne qareeb thi ki mai khushi ko bhi bhool gaya
aur us bewafa ko ab apni khushi ki talash hai
milen rahaten use chahtein ki vo zindagi me sada hanse
ye dua meri jo sun sake mujhe us khuda ki talash hai
Main kehta tha kaho itna kahan tak aazmaa’o gay
Wo boli bus wahan tuk, jab tum apni jaan se jao gay
Main faislay kay waqt say guzar chuka hoon magar
mujhe ab bhi uske Lout aane ka intezzar hai....
No comments:
Post a Comment