Khuda Meri Hifazat Karna !

Tu Agar Mujhe Nawaze To Tera Karam Hai Mere ALLAH ! Warna Tere Rahmaton K Kabil Meri Bandagi Nahi Hai....

Friday, 2 December 2011

Aye zindagi aur kitna dard degi mujhe

jab maine zindagi me chalna nai sikha
tune pathrili raahon pe chalne ko chod diya
jab sub bacche maa ki aanchal me so rahe the
to tune mujhe kadi dhoop me rone ko chod diya
aye zindagi ab tu bata aur kitna dard degi mujhe

jab dusre bhar pet kha k sote the
to tune mujhe bhuke pet sula diya
jab dusre apne gharo me khusiyan manate the
to tune mere dil me sirf gham hi rahne diya
aye zindagi ab tu bata aur kitna dard degi mujhe

jab jab  maanga aasra apne liye maine tujhse
tune gair samajh k mujhe nazar andaaz kar diya
jab aaya tere dar khushiyon ki talaash mai
tune meri jholi har baar khaali hi rakh diya
aye zindagi ab tu bata aur kitna dard degi mujhe

na ki kabhi shikayat na hi karna chahta hu
nai tu mere liye kabhi gair thi na mai hona chahta hu
bus tujhse gile shikwe mai door karna chahta hu
aur hans k tujhe apne gale lagana chahta hu
aye zindagi mai tujhe apne gale lagana chahta hu

1 comment: