Khuda Meri Hifazat Karna !

Tu Agar Mujhe Nawaze To Tera Karam Hai Mere ALLAH ! Warna Tere Rahmaton K Kabil Meri Bandagi Nahi Hai....

Monday, 12 December 2011

ABHI BAKI RAH GAYA HAI !


kuch is tarah armaan adhure rah gaye hai
mano sapne saare toot k bikharne ko rah gaye hai
har pal ek naya khawab saza to leta hu main
par fariyaad to saare mere jaise ansune rah gaye hai
hansti zindagi ne v ab karwat badal li,
khushiyon ne bhi meri apni raah badal li,
lag gayi nazar kiski na jaane meri zindagi ko
ki dubne ko bhi bus ab kinaare hi rah gaye hai
kya kasoor tha mera ye har pal sochta hu main
kya toda tha dil kisi ka ye har pal sochta hu main
ab to roz guzarna padta hai aise galiyon se
jaha sirf patjhad k hi nazaare rah gaye hai
kiska saath maangu kiska saath chod du main
ab to har koi begaana sa lagne lagta hai
pal me khushi to pal me gam hai is zindagi me
par har haal me zindagi jine ko majboor hu yaha main
saara jaha paane ki tamanna bus gayi hai is dil me
kyuki khone ko to ab bhi saans jo rah gaya hai........

saahil pe baithe lehar dekhte rahe
kab badlegi unki nazar sochte rahe
sab ne kaha wo teri kismat me nai
aur hum bus apni duaon ka asar dekhte rahe

1 comment: